Karachi: Finance Minister Muhammad Aurangzeb ne kaha hai ke hukoomat sugar aur wheat sectors ki deregulation ki taraf ja rahi hai, jisme Government poori value chain se bahar aayegi.
Unho ne bataya ke tax policy formulation ab FBR se Finance Division ko transfer kar di gayi hai, aur agle fiscal year ka budget tax policy office tayyar karega. Ye qadam business community ke policy inconsistency ke shikayaton ko door karega.
Aurangzeb ne kaha ke har sector ko export karna hoga taake woh competitive sabit ho. Textile sector ab bhi Pakistan ki export backbone hai, jabke IT aur pharmaceutical sectors ne bhi significant growth dekhi hai.
Finance Minister ne bataya ke Reko Diq project 2028 me shuru hoga, jiska pehla export takreeban $2.8 billion ka hoga, aur ye project economy ke liye milestone sabit hoga.
Hukoomat industrial raw materials par tariffs kam karne aur sustainable governance ke liye committed hai, aur Blue Economy ko $100 billion ke potential ke sath game changer qarar diya gaya hai.
National Finance Commission (NFC) ke agle meeting me provincial shares revisiting ka discussion bhi hoga.




