Wednesday, November 5, 2025
spot_img
HomeBusinessTORKHAM TRADE GATEWAY 25VEIN ROZ BHI BAND, DO TARFA TIJARAT MOATTAL —...

TORKHAM TRADE GATEWAY 25VEIN ROZ BHI BAND, DO TARFA TIJARAT MOATTAL — ARBON RUPAY KA NUKSAAN

Khyber: Pakistan aur Afghanistan ke darmiyan Torkham tijarati guzargah 25vein roz bhi band hai, jiske natijay mein do tarfa tijarat mukammal tor par moattal hai aur arboun rupay ka nuqsaan ho raha hai.

Customs zaraye ke mutabiq, guzargah ki bandish ke sabab cargo gaariyon ki lambi qataren ab bhi barqarar hain, jabke import, export aur transit trade ki hazaroon gaariyan mukhtalif maqamaat par phansi hui hain.

Hukamranon ne bataya ke Pakistan se Afghanistan ko cement, dawaen, kapra, taaza phal aur sabziyan baramad ki jati hain, jabke Afghanistan se koila, soapstone, aur khushk aur taaza phal samait kayi ashya daramad ki jati hain.

Zaraye ke mutabiq, Torkham guzargah se rozana taqriban 85 crore rupay ki tijarat hoti hai — jisme 58 crore ki export aur 25 crore ki import shamil hoti hai.
Is tijarat se qaumi khazane ko rozana taqriban 5 crore rupay hasil hotay hain.

Immigration zaraye ke mutabiq, Pakistan mein ghair qanooni tor par rehnay walay Afghan shehriyon ko marhala war mulk badar kiya ja raha hai.

Is silsile mein Torkham sarhad ko 3 din pehle sirf Afghan panah guzeenon ki wapsi ke liye khola gaya tha.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×