Islamabad:
Federal Board of Revenue (FBR) ne tax fraud ke ilzamat mein tajiron ki girftari se pehle mashwara karne ka faisla kar liya hai aur is silsile mein official notification bhi jari kar diya gaya hai.
Notification ke mutabiq, Sales Tax General Order (STGO) No. 02 of 2025 ke tahat, FBR ne business aur trader organizations ke representatives ko namez kar diya hai, jin se girftari ya investigation se pehle mashwara zaroori hoga.
In me Pakistan Business Council, Lahore Chamber of Commerce, FPCCI, APTMA, Multan Chamber, Quetta Chamber, Hyderabad Chamber aur Sarhad Chamber of Commerce & Industry ke representatives shamil hain.
FBR ne wazahat ki hai ke jab tak business representatives se mashwara nahi hoga, kisi bhi tajir ke khilaf investigation ya girftari ki ijazat Member Inland Revenue Operations nahi denge.
Is ke ilawa, pre-arrest committee bhi banai gayi hai jis me har zone se do business representatives shamil honge, taake tajiron par beja dabao ya ghair zaroori action se bacha ja sake.
FBR ne tamam tijarati tanzeemon ko hidayat di hai ke wo apne do do representatives nominate karen jo ke registered taxpayers aur achhi compliance history rakhte hon. Har region ke liye do namayande FBR headquarter se manzoor honge.
Ye qadam tajir biradari ka aitamaad bahal karne aur ghair zaroori karwaiyon ke tadaruk ke liye ek ahm pehal qarar di ja rahi hai.
Zaruri baat ye hai ke Federal Budget 2025–26 ke elan ke baad se ab tak kisi bhi tajar ke khilaf tax fraud par koi FIR darj nahi ki gayi thi, kyun ke tajir aur sanati baradari ke shadeed reaction ke baad hukoomat ne amal rok diya tha.
Ab FBR ne tajir tanzeemon ke representatives ko onboard le kar girftari se pehle mashwara lazmi qararb dya hai.




