Thursday, October 23, 2025
spot_img
HomeBusinessGOVT AUR IMF KA TAX TARGET MEIN 150 ARAB RUPEY KAMI PAR...

GOVT AUR IMF KA TAX TARGET MEIN 150 ARAB RUPEY KAMI PAR ITTEFAQ SELAAB NUKSAANAAT KI REPORT KE BAAD MAZID KAMI KA IMKAAN

ISLAMABAD: Government ne International Monetary Fund (IMF) ke sath tax target mein 150 arab rupey ki kami par ittefaq kar liya hai.

Zaraye ke mutabiq, tax target 14,131 arab rupey se ghata kar 13,981 arab rupey kar diya gaya hai, jabke selaab ke nuksanaat ki tasdeeq shuda report ke baad target mein mazeed kami ka imkaan hai.

IMF aur Pakistan ke darmiyan naye MEFP draft (Memorandum of Economic and Financial Policies) par bhi ittefaq ho gaya hai jisme macro-economic framework mein tabdeeliyan ki gayi hain.

GDP growth rate 3.5% aur tax-to-GDP ratio 11% muqarrar ki gayi hai, lekin rawan mali saal GDP ka 1 lakh 29 hazar arab rupey ke hadaf tak na pohanchne ka khatra hai.

Naye moahide ke mutabiq, $1.2 billion ke installment par IMF ki country report mein tamam benchmarks shamil honge.

Yad rahe ke chand roz pehle IMF ne Pakistan mein haal hi ke shadid selaab ke ma’ashi asraat par tashweesh ka izhar kiya tha.

IMF ki Middle East and Central Asia Regional Economic Outlook report mein kaha gaya tha ke selaab ke sabab ma’ashi growth, mehngai aur current account balance par manfi asraat par sakte hain.

Report ke mutabiq, Pakistan ki ma’ashi growth rate 4.2% ke hadaf ke muqable mein 3.6% tak rehne ka imkaan hai aur mehngai mein izafa bhi dekhne ko mil sakta hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×