Tuesday, October 21, 2025
spot_img
HomeBusinessPAKISTAN NE AFGHANISTAN, IRAN AUR RUSSIA KE SATH NAYA BARTER SYSTEM LAUNCH...

PAKISTAN NE AFGHANISTAN, IRAN AUR RUSSIA KE SATH NAYA BARTER SYSTEM LAUNCH KAR DIYA

Islamabad: Pakistan ne Afghanistan, Iran aur Russia ke darmiyan ashya ke badlay ashya (barter) tijarat ko aasaan banane ke liye naya Chartered Trade Framework mutarif karwa diya hai.

Federal cabinet ki manzoori ke baad Ministry of Commerce ne Business-to-Business Barter Trade Mechanism mein tabdeelion ka notification jari kar diya hai.

Notification ke mutabiq, barter trade ka duration 90 din se barhakar 120 din kar diya gaya hai. Hukoomat ne import-export policy mein bhi nai tarmeemaat shamil kar di hain — jis ke zariye tijarat ab maal ki qeemat ke mutabiq ki ja sakti hai.

Customs officials ab har 3 mahine ke baad import aur export ka hisaab dekhenge, jab ke Pakistani tajiron ko har quarter ke andar andar maal ki qeemat ka balance barabar rakhna hoga. Agar muqarrar muddat mein balance barabar na hua to ijazat nama khatam samjha jayega.

Is naye framework ke tehat ab export se pehle import karne ki shart khatam kar di gayi hai yani ab import aur export aik saath kiye ja sakte hain. Private idaron ko consortiums banane ki bhi ijazat de di gayi hai.

Agar kisi qanooni khilaf warzi ya tax na ada karne ka mamla samne aya to consortium mein shamil companies ke khilaf karwai ki ja sakegi. Nai policy ke zariye exporters ko bhi shamil kar liya gaya hai, kuch purane clauses hata kar naye qawaid daakhil kiye gaye hain.

Naye Barter Trade Framework ka maqsad tijarat ko zyada asaan, amali aur business-friendly banana hai. Mukhtasir list khatam kar ke nizam ko aam export aur import policy ke sath hum aahang kar diya gaya hai.

Wazeh rahe ke 2023 mein nafiz shuda barter mechanism par amal mein kai mushkilat samne aayi thin, jis ke baad State Bank, Wazarat-e-Kharja, FBR aur stakeholders se mashawrat kar ke yeh tabdeeliyan ki gayi hain.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×