Pak-Afghan Torkham tajirati guzargah dobara kholne ki tayariyan shuru kar di gayi hain. Customs hukamranon ne amlay ko foran Torkham terminal par hazir hone ka hukm de diya hai.
Customs zaraye ke mutabiq cargo gaadiyon ki clearance ke liye scanner bhi terminal par pahucha diya gaya hai. Yaad rahe ke sarhad par tashaddud aur kashidgi ke baad scanner 11 aur 12 October ki darmiyani raat terminal se hata diya gaya tha.
Zaraye ne kaha ke Torkham guzargah 8 din pehle Pak-Afghan tanazon ke sabab band ki gayi thi.
Afghan security zaraye ke mutabiq Afghanistan ki janib bhi sekron musafir Torkham sarhad par pahunch gaye hain, unhein bhi ittila mili hai ke border khola ja raha hai.