Monday, October 20, 2025
spot_img
HomeEconomyPAKISTAN AND IRAN SIGN NEW BARTER TRADE SRO TO BOOST BILATERAL TRADE

PAKISTAN AND IRAN SIGN NEW BARTER TRADE SRO TO BOOST BILATERAL TRADE

Pakistan aur Iran ka naya Barter SRO sign — dono mumalik ke darmiyan trade ko farogh milega

Tehran: Pakistan aur Iran ne Business to Business (B2B) Barter Trade Mechanism, 2023 mein tabdeeli karte hue naya SRO sign kar liya hai, jis ka maqsad dono mumalik ke darmiyan barter trade (maal ke badlay maal) ko barhawa dena hai.

Pakistan ke Ambassador Muhammad Mudassir Tipu ne kaha ke lambi mushawrat ke baad dono taraf ke business communities ke concerns ko madde nazar rakhte hue naya SRO tayar kiya gaya hai. Unhon ne umeed zahir ki ke yeh naya moahida Pakistan-Iran trade ko mazeed behtar aur diversified karega.

Ambassador Mudassir ne dono mumalik ke industry aur business community se appeal ki ke woh is naye SRO se poora faida uthayen aur doosri taraf ke Chambers of Commerce aur trade bodies se kaha ke woh is SRO ko apne members tak pohchayen taa ke mutually beneficial trade dividends hasil kiye ja saken.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×