Friday, October 17, 2025
spot_img
HomeBusinessCITI PHARMA NE IRAQ MEIN NAI MANUFACTURING FACILITY KE DAWON KI TAZDEEQ...

CITI PHARMA NE IRAQ MEIN NAI MANUFACTURING FACILITY KE DAWON KI TAZDEEQ NAHI KI

Lahore: Citi Pharma Limited ne un khabron ki tazdeeq se inkar kar diya hai jo social media platforms par company ke Iraq mein nayi pharmaceutical manufacturing facility qaim karne ke hawalay se gardish kar rahi thi.

Company ke bayaan ke mutabiq, Iraq Expo mein hissa lene ke baad mukhtalif stakeholders ke sath initial exploratory level par discussions hui theen, lekin ab tak koi rasmi faisla, moahida ya commitment nahi ki gayi ke Iraq ke market mein operations shuru kiye jayen.

Citi Pharma ne wazahat ki ke social media par chalne wali posts ghalat fehmi ke nateeje mein mukhtalif media platforms par share ho gayi theen. Company ne un platforms se formally darkhwast ki hai ke un misleading posts ko asap hata diya jaye taake ghalat maloomat ka phailaao roka ja sake.

Company ne kaha ke ye wazahat thori dair se is liye di gayi kyunke Citi Pharma ko in posts ke bare mein baad mein ittila mili.

Citi Pharma Limited ne apne shareholders aur awaam ko yaqeen dilaya hai ke woh transparency barqarar rakhne aur sahi maloomat bar waqt share karne ke liye pur azm hai, jaisa ke qawaid-o-zawabit ke mutabiq darkar hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×