Karachi: Amreli Steels Limited ne apne banking syndicate ke sath Master Restructuring Agreement aur tamam related documents sign kar liye hain. Is process mein Bank Alfalah Limited lead bank ke tor par, jab ke Pak Brunei Investment Company Limited agent aur security agent ke tor par kaam kar rahi hai.
Company ke mutabiq, yeh agreement unke aur unke financial partners ke darmiyan aik lambi aur mehnat bhari kaoshish ka nateeja hai, jo ab apni takmeel ko pohanch chuki hai.
Restructuring ke zariye company ko kai aham faide honge jin mein shamil hain:
- Behtareen liquidity aur cash flow
- Sustainable operations
- Capacity utilization mein izafa
- Financial costs mein kami
- Operational kharche kam honge
Amreli Steels ne tamam stakeholders, banks aur advisors ka shukriya ada kiya hai jinhon ne mil kar is restructuring process ko kamiyabi se mukammal karaya.
Company ka kehna hai ke woh Amreli brand ki legacy ko aur mazboot banane ke liye pur-azm hai aur mulk bhar mein construction aur infrastructure development ke liye aik reliable partner ke tor par kaam jari rakhegi.