Thursday, October 16, 2025
spot_img
HomeBusinessPAKISTAN KI ECONOMIC GROWTH 3.6% AUR INFLATION 6% REHNE KA IMKAN, SAILAAB...

PAKISTAN KI ECONOMIC GROWTH 3.6% AUR INFLATION 6% REHNE KA IMKAN, SAILAAB KE ASRAT SE GROWTH KAM HO SAKTI HAI: IMF

Islamabad: International Monetary Fund (IMF) ne apni World Economic Outlook Report jari kar di hai jisme Pakistan ki maashi growth rate 3.6% aur inflation 6% rehne ka imkan zahir kiya gaya hai. Report ke mutabiq, abhi 2025 ke sailaab ke asraat in estimates me shamil nahi kiye gaye, is liye final numbers aur neeche ja sakte hain.

IMF ka kehna hai ke recent floods ne khaas taur par agriculture sector ko nuksaan pohanchaya hai, jis se overall economy par asar para. Hukoomat ne bhi apna growth target 4.2% se kam kar ke 3.5% kar diya hai, jabke World Bank ne 2.6% growth ka andaaza lagaya hai.

Sources ke mutabiq, IMF delegation pichle haftay Washington wapas chala gaya baghair staff level agreement finalize kiye. Dono taraf se chaar aham masail par ikhtilafat jaari hain —

  1. Governance aur corruption report ke jari karne ka waqt,

  2. Primary budget surplus ka target,

  3. Flood losses ke maashi asraat, aur

  4. External accounts deficit ke hisaab ka tareeqa.

IMF ne apni report me yeh bhi kaha ke inflation 6% rehne ka imkan hai, lekin sailaabon ke baad is me tabdeeli mumkin hai. Mahngai 5% se 7% ke darmiyan reh sakti hai, khaas taur par agar food aur energy prices barhti hain.

Report ke mutabiq, current account deficit GDP ka 0.4% tak rehne ka imkaan hai, jabke Ministry of Finance ne isay 0.2% tak estimate kiya hai.

Dunya bhar ke liye IMF ne 2025 ki global growth forecast 2.8% se barha kar 3.2% kar di hai — yeh behtari US trade tariffs ke kam asraat ki wajah se hui hai. Report me US growth 2% aur China ki growth 4.8% batayi gayi hai.

Ministry of Finance ke sources ke mutabiq, IMF ne Pakistan ke afsaroon ke assets disclosure mechanism par bhi tashweesh ka izhar kiya hai. Fund ne hukoomat ki sirf bank accounts disclosure wali tajweez ko naqis qarar de kar reject kar diya hai, aur kaha hai ke sirf bank data kafi nahi — tamam maliaati, manqoola aur ghair-manqoola assets ka mukammal declaration system zaroori hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×