Monday, October 13, 2025
spot_img
HomeHealthGOVERNMENT SETS TARGET TO INCREASE PHARMACEUTICAL EXPORTS TO USD 30 BILLION –...

GOVERNMENT SETS TARGET TO INCREASE PHARMACEUTICAL EXPORTS TO USD 30 BILLION – MUSTAFA KAMAL

Government ne dawaon (pharmaceuticals) ki exports ko agle 5 saalon mein 30 billion dollars tak barhane ka target set kar liya hai.

Tafseelat ke mutabiq, Federal Minister for Health Mustafa Kamal ki zair-e-sadarat DRAP (Drug Regulatory Authority of Pakistan) ka aik aham ijlaas mun’aqid hua, jis mein Federal Secretary Health, Additional Secretary aur DRAP ke CEO bhi shamil hue.

Meeting mein pharmaceutical exports ke 5 saala target par progress ka jaiza liya gaya. Mustafa Kamal ne kaha ke government dawaon ki export barhane ke liye pur azm hai aur is hadaf ke liye tamam mumkin iqdamat uthaye ja rahe hain.

Unka kehna tha ke Pakistani medicines ko global trade markets tak rasai dilwane ke liye zaroori qadam uthaye ja rahe hain. Ye project sirf aik numerical target nahi balkay Pakistan ke economic stability ki nishani hai.

Mustafa Kamal ne kaha ke pharmaceutical sector ko export-driven industry mein tabdeel kar ke national economy ko mazboot banaya jayega. Project ki progress monitor karne ke liye regular follow-up meetings bhi rakhi jayengi.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×