Monday, October 13, 2025
spot_img
HomeBusinessPAKISTAN’S 29% CORPORATE TAX RATE HURDLE TO NEW INVESTMENT

PAKISTAN’S 29% CORPORATE TAX RATE HURDLE TO NEW INVESTMENT

Karachi: Pakistan mein foreign investment yani ghair mulki sarmayakari mein kami ka aik bada sabab mulk ka buland corporate tax rate hai. Filhal Pakistan mein corporate tax 29% hai, jis mein 10% super tax, 2% Workers Welfare Fund, 5% Workers Participation Fund aur munafa par 15% tax bhi shamil hai. Ye sab mil kar business karna mehnga aur mushkil bana dete hain, jis ki wajah se investors doosre behtar mulkon ki taraf rukh karte hain.

Pichle kuch saalon mein kai foreign companies ne Pakistan se apna business band kar diya hai aur kai MoUs bhi amal mein nahi aa sakin. Maahireen ke mutabiq, aaj ke daur mein competition sirf private sector tak mehdood nahi raha, Government ko bhi investor-friendly mahol dena parta hai.

Experts ka kehna hai ke kam tax aur clear rules sarmayakari barhane ke liye zaroori hain. OECD countries mein corporate tax ka average rate 23% hai, Hungary mein sirf 9% jab ke France mein 34% hai.

High tax rate se investment aur business dono slow ho jate hain, jab ke kam tax rates se jobs, investment aur revenue barhta hai.

Experts ko Government ko mashwara diya hai ke wo foran tax reforms kare, warna investment aur economy dono par mazeed dabao barh sakta hai. Unhon ne kaha ke Government ko global competition ke usool samajhne honge aur “Adam Smith” ke concept “Invisible Hand” ko madde nazar rakhte hue policies banani chahiye, taake Pakistan bhi international economy mein mazboot maqam hasil kar sake.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×