Helion Pakistan mulk mein sarmayakari aur rozgar ke chances ko barhane mein aham kirdar ada kar raha hai.
Tafseelat ke mutabiq, SIFC ki madad se investments ke farogh ke liye sahulat aur transparency mein izafa ho raha hai.
Oxford Economics ki report ke mutabiq, Helion Pakistan ne 2024 mein mulki maishat mein 27 arab rupees ka hissa dala, jo aik numaya contribution hai.
Ye report hukoomati aur business shakhsiyaat ki mojoodgi mein British High Commission mein pesh ki gayi. Yaad rahe ke Oxford Economics aik international mashhoor firm hai jo global economic analysis aur forecasting karti hai.
Helion Pakistan ke initiatives ki wajah se mulk bhar mein 6,600 naye rozgar ke moqe paida hue hain. Company ki income, rozgar aur local economy ke mazbooti mein kirdar din ba din barh raha hai.
Federal Minister for Investment ka kehna tha ke Pakistan sarmayakari ke liye poori tarah tayar hai aur lambi muddat ki partnerships ko promote kiya ja raha hai.
Minister of State for Finance ne kaha ke Helion ki research Pakistan mein responsible investment ki aik behtareen misaal hai. Unhon ne kaha ke SIFC ki koshishon se sarmayakari ke chances mein izafa aur mutual cooperation ko farogh mila hai.