Oil prices jumma ke din thori si kam hui hain, jab ke guzishta session mein 1.6% ki girawat record ki gayi thi. Ye kami us waqt dekhi gayi jab Israel aur Hamas ne Gaza jang khatam karne ke liye pehla ceasefire agreement sign kiya, jo US President Donald Trump ke peace plan ka pehla marhala hai.
Brent crude 7 cents kam hoke $65.15 per barrel par aa gaya, jabke US West Texas Intermediate (WTI) 2 cents gir kar $61.49 par trade hua.
Is deal ke tehat Israel jang band karega, Gaza se partial withdrawal karega, aur Hamas apne sab hostages ko release karega, badle mein Israel apne qaidiyon ko riha karega.
Haalanke jummay ko thodi girawat dekhi gayi, magar poore haftay ke dauran Brent aur WTI dono lagbhag 1% upar rahe, jab ke pichle haftay mein kafi girawat dekhi gayi thi.
Analyst Daniel Hynes ke mutabiq, Gaza ceasefire ke baad market ka focus aane wale oil surplus par chala gaya hai, kyun ke OPEC apni production cuts khatam karne ki taraf badh raha hai. Lekin OPEC+ ke recent meeting mein kam tha expected output hike se oversupply ke concerns kuch kam hue hain.
Experts ka kehna hai ke agar US government shutdown lamba chalta hai to is se American economy slow ho sakti hai aur oil demand par pressure par sakta hai, kyunke America duniya ka sabse bada oil consumer hai.