Monday, October 13, 2025
spot_img
HomeEconomyPAKISTAN KI ECONOMY BEHTARI KI RAHA PAR — SARKARI KOSHISHON SE INVESTORS...

PAKISTAN KI ECONOMY BEHTARI KI RAHA PAR — SARKARI KOSHISHON SE INVESTORS KA BHAROSA BARH GAYA: PM SHEHBAZ

ISLAMABAD: Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ne Bloomberg ki report per welcome karte hue kaha ke Pakistan ki economy behtar ho rahi hai, aur investors ka bharosa barh raha hai.

Report ke mutabiq, Pakistan ke Credit Default Swap (CDS) ke daam mein 2,200 points ki kami hui hai, jo yeh dikhata hai ke default ka khatra ab kam ho gaya hai.

Shehbaz Sharif ne kaha ke Pakistan ab Turkiye ke baad doosre number par hai un mulkon mein jahan economy tezi se behtar ho rahi hai. Unhon ne yaad dilaya ke pichli hukoomat ke daur mein mulk default ke qareeb tha, lekin ab halat sudar rahe hain.

Unhon ne kaha ke hukoomat aur business logon ki mushterka koshishon se Pakistan ka taraqqi ka safar wapas track par aa gaya hai, aur yeh safar ab rukay ga nahi.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×