Karachi – SUV sales ne Sazgar Engineering Works Limited (SAZEW) ke munafa mein zabardast izafa kar diya hai. Company ne apni recent analyst briefing mein 3QFY25 ke results aur future outlook share kiya jahan unka EPS Rs103.1 raha – jo ke last year ke mukable mein taqreeban 2.1 times zyada hai. 9MFY25 mein company ka total EPS Rs212.7/sh raha, jo ke 2.4x ka izafa hai. Yeh sab kuch SUV sales mein 2.5x YoY growth ki wajah se mumkin hua.
Company ne bataya ke April 2025 mein SUV sales mein 42% QoQ girawat aik one-off event tha – jiska sabab Sindh mein canal project protests ke chalte highway blockages aur H6 facelift ki rollout mein delays thay.
Tariff Reductions Aur Demand ka Mustaqbil
Management ka kehna tha ke agar FY26 budget mein jo tariff reductions propose ki gayi hain woh implement hoti hain, toh woh gradual hongi aur FY30 tak phase-wise introduce ki jaengi. Is wajah se short-term mein local demand par koi bara asar nahi aayega. Company ko umeed hai ke woh industry-wide volume growth ke sath sath apna expansion jari rakhegi.
NEV Expansion Aur Export Focus
SAZEW ne apna CapEx plan revise karke Rs11.5bn tak barha diya hai. Yeh investment NEV (New Energy Vehicle) manufacturing aur assembly facility ke liye ki ja rahi hai. Iss mein kuch aur projects bhi shamil hain jese ke:
- Existing paint shop ka expansion
- Nai warehousing facilities ka construction
- 5.7MW ka solar power plant lagana
NEV vehicles – jisme ORA models shamil honge – ka rollout FY26 ke akhir mein expected hai. Management ne bataya ke woh GWM Tank 500 (Luxury SUV) aur kuch PHEV (Plug-in Hybrid Electric Vehicle) models par bhi kaam kar rahe hain.
Company ka production capacity jo abhi 40 units/day hai, woh expansion ke baad 90 units/day tak pohanch sakti hai. Yeh sab vehicles greenfield status mein nahi aayenge. Management ne bataya ke woh apni NEV lineup aur volume growth ko priority de rahe hain, taake margins ko protect kiya ja sake – khas taur par us waqt ke liye jab Jun2026 mein HEVs par sales tax benefits aur greenfield status expire ho jayega.
Localisation Aur Export Targets
Management ne kaha ke woh localisation thresholds meet kar rahe hain, lekin abhi bhi kuch imported parts – khas tor par China se – zyada cost-effective hain. Export ke hawale se, unka focus EV rickshaws ke export par hai, jahan Japan aur Liberia main export activity chal rahi hai.
Article by Ms. Kiran, Co-Editor