April 04, 2025 – Hukoomat ne ghareeb tabqay ko thodi si rahat denay kay liye bijli ke naye rates ka elan kar diya hai. Lifeline consumers sirf Rs4.78 per unit ada karein ge, jabkay 200 units tak istemal karne walay bhi kam rates ka faida utha sakein ge.
Naiy Bijli Rates Aur Asar
Naye rates kay mutabiq, mukhtalif istamaal kay mutabiq alag alag charges hon ge:
✅ Lifeline Consumers (kam bijli istemal karne walay) – Rs4.78 per unit
✅ 100 units tak istemal karne walay – Rs9.37 per unit
✅ Protected consumers (jo 100 units tak istemal karte hain) – Rs8.52 per unit
✅ 200 units tak istemal karne walay – Rs11.51 per unit
Magar agar bijli ka zyada istemal ho, toh rates bhi barh jayein ge:
❌ 300 units istemal karne walay (Non-protected) – Rs34.03 per unit
❌ Time of Use (TOU) consumers – Rs48.46 per unit
Ye afzaish un gharano aur businesses ke liye musibat ban sakti hai jo zyada bijli istemal karte hain, kyunki mehngai ka barhawa un par zyada asar dalay ga.
Karobari Aur Industrial Consumers Kay Liye Rate
Hukoomat ne commercial aur industrial consumers ke liye bhi naye rates mukarrar kiye hain:
🔹 Commercial consumers – Rs62.47 per unit
🔹 General services – Rs49.48 per unit
🔹 Industrial consumers – Rs40.51 per unit
🔹 Agricultural consumers – Rs34.58 per unit
Ye naye rates khas tor par chhotay karobaron kay liye mushkilat paida kar sakte hain jo pehlay hi operating costs ki waja se nuksan utha rahay hain.
AJK Aur National Tariff
Azad Jammu & Kashmir (AJK) mein bijli ka rate Rs32.69 per unit mukarrar kiya gaya hai, jabkay mulk bhar ka average national tariff Rs37.64 per unit rakha gaya hai.
PM Shehbaz Sharif Ka Bayan
Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ne apni taqreer mein in tabdeeliyon ka elan kiya aur kaha ke:
🔹 Hukoomat power sector reforms aur bijli chorion ke khilaf karwai kar rahi hai jo mulk ko har saal Rs600 billion ka nuksan pohncha rahi hain.
🔹 IPPs kay sath negotiations se Rs3,696 billion ka faida howa hai.
🔹 Circular debt Rs2.39 trillion tak pohanch gaya hai, magar hukoomat ne isay 5 saal mein khatam karne ka irada kar liya hai.
🔹 Mehngai jo pehle 38% tak pohanch gayi thi, ab kam hoke 1.5% tak aagai hai.
🔹 Petrol aur policy rate mein kami karne se business community ko rahat mili hai.
Wazir-e-Azam ne PML-N aur uske ittihadiyon ka shukria bhi ada kiya jo in mushkil halaton mein sath kharay hain. Army leadership ka bhi zikar kiya gaya jo economy ko stable karne mein madad de rahi hai.
Hukoomat kay samne challenge yeh hai ke loss-making state-owned companies (SOEs) jo mulk ka khazana khatam kar rahi hain, unka solution nikala jaye. Magar hukoomat is umeed mein hai ke ye sab reforms mulk ko mustahkam economic growth ki taraf le kar jaayein ge.