Wednesday, January 22, 2025
spot_img
HomeBusinessBANGLADESH KI PAKISTAN SE CHEENI AUR CHAWAL KI IMPORT KA FAISLA

BANGLADESH KI PAKISTAN SE CHEENI AUR CHAWAL KI IMPORT KA FAISLA

Bangladesh ko is waqt cheeni ki kami ka samna hai, aur apni import zarurat poori karne ke liye Pakistan ki mandiyon ka rukh karne ka faisla kiya hai.

Ministry of Commerce ke Sources ke mutabiq, Bangladesh 15,000 metric tons Pakistani refined cheeni import karna chahta hai. Ye faisla Bangladesh me cheeni ki local demand ko poora karne ke liye liya gaya hai.

Pichle saal December me, Bangladesh ne apni zarurat ke liye private sector ke zariye Pakistan se taqreeban 25,000 metric tons cheeni import ki thi. Iss ke ilawa, December me cheeni ki export ke baad ab Bangladesh aur Pakistan ke darmiyan 50,000 metric tons chawal ki import ka moahida chal raha hai, jise agle hafte finalize kiya jayega.

Sources ka kehna hai ke Bangladesh Trading Corporation of Pakistan (TCP) ke zariye G2G (Government-to-Government) basis par chawal import kar raha hai. Bangladesh ne TCP ke zariye safed refined cheeni import karne ki bhi interest dikhai hai.

Shuruati tor par, Bangladesh Pakistan ki current fasal se 15,000 metric tons refined cheeni lena chahta hai. TCB ne apni requirements ka outline diya hai, jis me ICUMSA grading 45 se zyada na ho, aur saf, medium, aur dry cheeni ko tarjeeh di gayi hai.

Chittagong Port Bangladesh ne cost and freight (C&F) par mabni offer price ki request ki hai taake import ka final decision liya ja sake. Pakistan se TCP Bangladesh ki zarurat ki cheezon ki export ke liye TCB ke saath deal karega.

TCP ne pehle hi Bangladesh ke liye 100,000 metric tons white long grain chawal export karne ke liye TCB ke sath baatcheet shuru kar di hai. January 6, 2025 ko TCP ne chawal export karne ke liye do tenders khole, jin ke jawab me 11 traders ne apni bids jama karwai.

Bangladesh ke liye 50,000 metric tons long grain white rice export karne ke liye bids $498.40 per metric ton se $523.50 per metric ton tak jama hui hain.

Ye taaluqat dono mumalik ke darmiyan tijarati rishton ko mazbooti dene ka ek aur step hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×