Islamabad: Pakistan aur Kazakhstan ke darmiyan tijarat ke farogh ke liye aik aala satah ka ijlaas hua, jis mein masnoaat aur machinery ke liye display centers qaim karne ka faisla kiya gaya.
Ijlaas ki sadarat Wafaqi Minister Sarmai Kari Board, nijkari aur Muwasalat Abdul Aleem Khan ne ki, jab ke Kazakhstan ke Safeer Yerzhan Kistafin bhi khaas shirkat karte nazar aaye.
Ijlaas mein faisla hua ke textile, surgical aalaat, sports goods, handicrafts, leather masnoaat aur zarai aalaat ko showcase kiya jayega.
Abdul Aleem Khan ka kehna tha ke Pakistan aur Kazakhstan ke business communities ko ek hi chhat talay asaniyan faraham ki jayengi. Dono mulk agle 3 saalon mein do tarafah tijarat ka volume 100% barhane ka irada rakhte hain. Ghair mulki sarmaya karon ki zarurat ek hi markaz mein puri ki jayegi, mukhtalif shehron mein jaane ki zarurat nahi hogi.
Kazakhstan ke Safeer Yerzhan Kistafin ne Pakistan mein display centers ke qayam mein gehri dilchaspi ka izhar karte hue mukammal cooperation ka yaqeen dilaya.
Abdul Aleem Khan ne kaha ke Pakistan aik saal mein Kazakhstan ko apni baramadad mein 20% izafa karna chahta hai. Sirf Kazakhstan hi nahi, balke dosre Central Asian mulkon ke sath bhi mushtarka business hikmat-e-amli apnayi jayegi. Almaty, Baku aur dosre bare shehron mein Pakistani masnoaat ke liye numaishi markaz banaye jayenge, aur har mulk ki demand ke mutabiq display centers ke liye policy banayi jayegi.
Kazakhstan ke Safeer ne Abdul Aleem Khan ke cooperation aur tijarati dilchaspi par shukriya ada kiya. Abdul Aleem Khan ka kehna tha ke display centers ahem maqamat par qaim honge jahan business community ko asani se rasai hasil ho sake.
Ijlaas mein Kazakhstan mein Pakistan ke Safeer, wafaqi secretaries aur senior officers ne bhi shirkat aur briefing di.