Tuesday, October 22, 2024
spot_img
HomeBusinessRPPL RECEIVES PROPOSAL FOR EARLY TERMINATION OF POWER PURCHASE AGREEMENT – AWAITING...

RPPL RECEIVES PROPOSAL FOR EARLY TERMINATION OF POWER PURCHASE AGREEMENT – AWAITING SHAREHOLDERS’ DECISION

Rousch (Pakistan) Power Limited (RPPL), jo ke Power Management Company (Private) Limited ki subsidiary hai, aur Altern Energy Limited (AEL) ki subsidiary bhi hai, ko hukoomat-e-Pakistan ki taraf se ek tajwez mili hai. RPPL ka Power Plant 1994 Power Policy ke taht qaim kiya gaya tha. 

Pakistan ki Government ne Power Sector Reform Task Force banai hai, jiss se RPPL ka rabita hai.

Task Force ne RPPL ko tajwez di hai ke uska Power Purchase Agreement (PPA), jo ke Central Power Purchasing Agency (Guarantee) Limited (CPPA) ke sath tha, usko waqat se pehle khatam kiya jaye.

Yeh Agreement Government of Pakistan ne 2032 tak ke liye kiya tha, lekin ab tajwez hai ke isse pehle hi khatam kiya jaye. Is tajwez ke mutabiq, RPPL ke receivables CPPA ki taraf se ada kar diye jayenge, aur RPPL ka Power Complex Government ke hawalay kiya jayega, jaisa ke PPA ke terms mein likha hai.

18 October, 2024 ko RPPL ke Board of Directors ne yeh tajwez Shareholders ke samnay rakhi hai, taake Shareholders is par faisla kar sakein Shareholders’ Meeting mein.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×