Thursday, January 9, 2025
spot_img
HomeBusinessIMF KA PAKISTAN KO CLIMATE SHOCKS SE BACHNE KE LIYE GDP KA...

IMF KA PAKISTAN KO CLIMATE SHOCKS SE BACHNE KE LIYE GDP KA 1% KHARCH KARNE KA MASHWARA

International Monetary Fund (IMF) ne Pakistan ko mashwara diya hai ke climate shocks, jaise ke intehai mausami halaat se bachne ke liye apni GDP ka 1% kharch kare. 

IMF ke mutabiq, climate shocks se niptne ke liye agar zyada investment ki jaye, to GDP, private consumption, aur private investment par parne wala manfi asar one third ya half tak kam ho sakta hai. Halan ke shock ke baad Pakistan ki GDP ko apni purani halat mein wapas aane mein 5 saal lagte hain.

IMF ne yeh bhi kaha ke aise investments natural disasters ke asar ko one third tak kam karenge aur Pakistan ki GDP ko jaldi wapas apne pehle level par le aayenge. C-PIMA Action Plan ke mutabiq agar public investment ko behtar banaya jaye to resilience mein mazeed behtari aa sakti hai, khaaskar shock ke foran baad. 

Lekin, iss resilience ko mazid barhane ke liye zaroori investment se qarz mein thoda izafa ho sakta hai. IMF ne yeh bhi kaha ke agar consumption aur income taxes jaise fiscal tools ko shock ke jawab mein istemal kiya jaye, to qarz ko recovery ke baad kam kiya ja sakta hai, lekin yeh har dafa mumkin nahi hota, khaaskar agar shock bara ho. Is liye, fiscal consolidation aur reforms par mazeed kaam karna zaroori hai taa ke aise shocks ko bardaasht karne ke liye fiscal space qayam rakhi ja sake.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×