MCB Bank Limited (PSX: MCB) ne Lahore High Court se Scheme of Compromises, Arrangements and Reconstruction ki manzoori hasil kar li hai, jis rke tehat bank apni 39 branches ko Islamic banking entities mein convert karega. Ye baat bank ne Tuesday ko Pakistan Stock Exchange (PSX) mein share ki.
Bank ke mutabiq, “Scheme of Compromises, Arrangements and Reconstruction (the ‘Scheme’) Companies Act, 2017 ke Section 279 se 283 aur 285 ke tehat, MCB Bank Limited aur uski mukammal tor par owned subsidiary, MCB Islamic Bank Limited ke darmiyan hai, aur ise Lahore High Court ne manzoor kar liya hai.”
MCB Bank Limited ek Pakistani banking company hai jo commercial banking aur is se related services mein mashghool hai.
Filing ke waqt, bank ka share PSX par Rs. 248 par tha, jo 0.75 percent yaani Rs. 1.85 barh gaya, aur 214,000 se zyada shares ka lein deen dekhne mein aaya.