Islamabad: RLNG (imported gas) ka zyada istemal hone ke baad mulk mein gas ki supply ka system phir se khatrey mein aa gaya hai.
Energy ministry ke senior officials ne bataya ke mulk ka gas transmission system dobara se khatrey mein aa gaya hai. Iski waja yeh hai ke power sector ne RLNG ka istemal buhat kam kar diya hai, jis se pipeline ka pressure 5 BCF ke qareeb pohanch gaya hai. 5 October 2024 ko ye pressure 577 MMCF tha aur sirf 3 din mein 7 October 2024 ko 239 MMCF reh gaya.
Officials ne bataya ke pipeline mein imported gas ke sath local gas bhi daali ja rahi hai, magar pressure barhne ki waja se pipeline phatne ka khatra hai, jo kisi bari mushkil ka sabab ban sakta hai.
Unhon ne yeh bhi kaha ke Pakistan har maheenay 10 LNG cargo lay kar aata hai, magar power sector itni gas use nahi karta jitni wo demand mein jama karte hain.