Karachi: Lincoln’s Corner Karachi, Liaquat Memorial Library mein 20 Sept 2024 ko ek khaas event hua jis me Rotary Club of Karachi Safe City District 3271, Umm-ul-Aaima Group of Companies, aur Pakistan’s 1st Urdu Roman News ne mil kar “Financial Acumen” ke naam se ek naya financial literacy aur entrepreneurship training program launch kiya.
Program ka maqsad hai ke youth aur professionals ko financial literacy aur business skills sikha kar unhein aane wale waqt ke liye tayyar kiya ja sake.
Yeh initiative unhein behtar faislay lene aur apne Business ko new ideas ke saath aage barhane mein madad dega.
Event ke iftitah ke mauqe par Governor Elect Mr. Shakeel Kaimkhani, Ms. Rashida Kausar President of Rotary Club of Karachi Safe City, Mr. Saif Antaria – Assistant Governor Rotary, Mr. Muhammad Noman Safdar CEO of Umm-ul-Aaima Group of Companies, aur Mrs. Kiran Noman Co-Founder Pakistan’s 1st Urdu Roman News ne bhi hissa lia.
Yeh program ek misaal hai ke kaise mukhtalif organizations mil kar apne expertise aur resources ka faida utha kar community ke liye positive solutions paish kar sakti hain.
Collaborating Partners:
- Rotary Club of Karachi Safe City RID 3271
- Pakistan’s 1st Urdu Roman News
- Umm-ul-Aaima Group of Companies
Distinguished Guests and Key Personalities jo ke is program ka ahm hissa bane un me shamil hen:
– Shakeel Kaimkhani – District Governor Elect, RID 3271
– Rashida Kausar – President, Rotary Club of Karachi Safe City
– Kiran Noman – CEO, Pakistan’s 1st Urdu Roman News
– M. Noman Safdar – CEO, Umm-ul-Aaima Group of Companies
– Saif Antaria – Assistant Governor, Zone 2, RID 3271
– Mr. Mubashir Sadik – CEO, Institute of Financial Markets of Pakistan
– M. Saleem Rao – Past District Governor, RID 3271
– Muhammad Hussain – Assistant Governor, RID 3271
– Lubna Khalid – RYLA Chair, RID 3271
– Durdaana Arshad – Assistant Rotary Coordinator, RID 3271
– Mr. Abdul Rehman – Head of Supply Chain, HOEAST Pakistan
– Mr. Ukesh Kumar – AVP, Sindh Bank Ltd
– Mr. Farees Khan – Trading Manger, Umm-ul-Aaima Associates
Is programe ka maqsad aik raushan mustaqbil ke liye buniyaad qaim karna he, jahan financial literacy aur entrepreneurship ek mustahkam system ka hissa banenge.
Registration Form for the Training Program
https://forms.gle/eM8hiVnNsr9HtGzE8
- Financial Literacy (OCT 2024)
- Entrepreneurship (NOV 2024
- Artificial Intelligence (AI) DEC 2024