Friday, September 20, 2024
spot_img
HomeBusinessTRG PAKISTAN LIMITED KA AHEM QADAM: AFINITI KI BALANCE SHEET RESTRUCTURING SE...

TRG PAKISTAN LIMITED KA AHEM QADAM: AFINITI KI BALANCE SHEET RESTRUCTURING SE AI INDUSTRY MEIN GROWTH KE IMAKANAT

TRG Pakistan Limited ne apne shareholder ke tor par aik ahem information ka izhaar kiya hai. TRG Pakistan ka portfolio company, The Resource Group International Limited (TRGI), jiska hissa Afiniti Limited hai, ne apne senior lenders ke sath ek comprehenshive balance sheet restructuring plan par ittefaq kar liya hai. Ye restructuring plan Afiniti ke financial position ko behtari ki taraf le jaye ga aur uske AI technology industry mein growth ke imkanaat ko barha de ga.

Is restructuring plan mein shamil hain:

  • Afiniti ke senior debt mein aik ahem kami aur debt maturity ke liye kai saalon ki extension.  
  • Balance sheet ka recapitalization, jis me senior lenders, TRGI aur Afiniti ki management ko ab bhi business mein significant equity interest mile gi, fully diluted basis par.  
  • Cash interest payments mein kami, jo additional financing ke sath mil kar Afiniti ko growth ke liye resources faraham karegi.  

Ye restructuring TRG Pakistan ke liye qeemati faida aur bari growth ka imkaan la rahi hai, jis me Afiniti mein TRG Pakistan ka indirect economic stake percentage terms par barqarar rahega, fully-diluted basis par.

Afiniti ki restructuring ka process Bermuda aur United States ki courts ki approval ka muntazir hai aur umeed hai ke year end se pehle mukammal ho jaye ga.

Afiniti restructuring transaction ki closing ke baad mazeed tafseelat share ki jaengi.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×