Karachi: Pakistan Stock Exchange mein 1510 points ki bari rally aagai, jis ke nateejay mein Index ne 82000 points ki satah bhi aboor karli aur KSE-100 Index barh kar 82003 points ki satah par agaya.
IMF se rawan mah qarz program ki manzoori milnay ki tawaqoaat par external financial gap aur qarzon se mutaliq mushkilat betadreej kam honay, baray paimany ki sanatiyon ki 2.38% ki growth, Asian Development Bank ki janib se aglay chaar saal mein 8 billion dollar ka qarz denay ke indication jaise factors ki wajah se Pakistan Stock Exchange mein bari noiyat ki bullish trend rahi, jis se Index ka 81 hazar points ka critical level cross hogaya.
State Bank ki janib se interest rate mein 2% ki kami bhi capital market ke trends par asar andaz rahi, jab ke textile, food, chemical, auto, aur garments sectors mein recovery se market mein positive momentum tha aur kaarobar ke aghaz se hi market green zone mein thi.