IMF hakam ne khabardar kiya hai ke tax wasuliyaan tasalli baksh na hui to Pakistan ko mini budget lana hoga. Pakistan ko har soorat tamam sharaait poori karni hogi. Hukumat-e-Pakistan ko koi aisa qadam nahi uthana jis se budget ahdaf mutasir hon. IPPs ke sath muahidon se iqtisadi mushkilat peda ho rahi hain.
Zaraae IMF ne hukumat ki tabdeeli ki qiyas arayion par tabsara karne se guraiz karte hue kaha ke IMF siyasi muamlaat par koi tabsara nahi karta. Pakistan ko siyasi challenges se nimatne ke liye apne tor par iqdamat karne honge.
IMF zaraae ke mutabiq Pakistan ke liye naya qarz program aakhri hone par tabsara nahi kiya ja sakta kyun ke iska daro madar naye qarz program ki kamiyabiyon par hoga.