Government aur Petrol Dealers ke beech muzakrat nakaam, 13,000 petrol pumps band hone ka khatra
Islamabad: Pakistan Petroleum Dealers Association (PPDA) ne elaan kiya hai ke Government ke sath baatein nakaam ho gayi hain aur ab unke paas koi aur raasta nahi bacha siwaye poore mulk mein petrol pumps ko band karne ke. Ye bandish 5 July se shuru hogi.
PPDA ke chairman, Abdul Sami Khan ne kaha, “Unho ne humse strike khatam karne ko kaha aur maslay hal karne ka wada kiya, lekin hum sirf wada par strike multavi nahi kar sakte.” Unho ne further bataya ke unho ne further Kaha ke har stakeholder se mulaqat ki, magar dealers ki shikayatein door nahi hui.
Mr. Khan ne kaha ke “Na-insafi par mabni turnover tax jab tak wapas nahi liya jata, Government se aur baatein nahi hongi.” Unho ne double taxation ko zalimana aur ghair-aaini qarar diya.
13,000 petrol pumps bandh
Abdul Sami Khan ne kaha ke 13,000 se zyada petrol pumps 5 July ko subah 6 baje se band ho jayenge aur yeh strike agle dinon tak chal sakti hai jab tak demands poori nahi hoti. Unho ne petrol pump malikan se appeal ki ke woh 4 July ke liye apna stock bacha ke rakhein.
Government ne supply situation ko manage karne ke liye ek monitoring cell bhi qaim kiya hai.