Pakistan Bureau of Statistics (PBS) ke mutabiq fiscal year 2023-24 mein mulk ki exports mein 10.54% ka izafa hua hai. July-June 2023-24 ke doran exports $30.645 billion rahin jo pichle saal 2022-23 mein $27.724 billion thi.
Doosri taraf, imports mein 0.84% ki kami dekhi gayi, jo iss saal $54.734 billion rahi jabke pichle saal $55.198 billion thin.
In figures ke mutabiq, iss fiscal year ka trade deficit $24.089 billion raha jo pichle saal $27.474 billion tha, yani 12.32% ki kami hui.
Saath hi, year-on-year basis par June 2024 mein exports 7.34% barh kar $2.529 billion hui jo ke June 2023 mein $2.356 billion thin.
June 2024 mein imports $4.919 billion rahin jo ke June 2023 mein $4.189 billion thin, yani 17.43% ka izafa.
Month-on-month basis par May 2024 ke muqable mein June 2024 mein exports 10.92% kam hui. Imports mein nominal 0.08% ka izafa hua, May 2024 mein imports $4.915 billion thin jabke June 2024 mein $4.919 billion.