Monday, November 25, 2024
spot_img
HomeFinanceCommoditiesPETROLEUM INDUSTRY HITS DECADE LOW: SALES DROP 8% IN FY24!

PETROLEUM INDUSTRY HITS DECADE LOW: SALES DROP 8% IN FY24!

OCAC ke data ke mutabiq, FY24 mein petrol industry ka sales volume 8% tak decline ho gaya, jo 10 years me ab tak ka sabse kam hai.

Yeh kami petrol products ki kam demand, mehngi prices, aur kam economic activities ki wajah se hui. Auto sales bhi kam hui aur bijli banane ke liye Govt. ne doosre sources use kiye, isliye FO ki demand decline ho gayi. Lekin July mein sales volume 4% MoM aur 8% YoY barh gaya FO aur MS ki zyada demand ki wajah se.

Reputable brokerage firm ki report kay mutabiq CNERGY aur HTL ke ilawa sab badi companies ne FY24 mein negative growth dekhi. SHEL ka sales volume 12% YoY gir gaya, PSO ka 9% YoY kam hua, APL aur HASCOL ka bhi sales volume kam hua. Lekin CNERGY aur HTL ne zabardast growth dikhayi, 33% aur 71% YoY.

Aage, MS ki demand mehngi prices aur kam auto sales ki wajah se kam rehne ki umeed hai. FO sales bhi kam rahengi lekin decline thoda kam hoga. HSD ki demand economic activities barhne se badhne ki umeed hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×