Finance Minister Muhammad Aurangzeb ne kaha ke Government mushkil faislay kar rahi hai lekin ye mulk aur awaam ke behtar mafaad ke liye hai.
FPCCI aur Business Recorder ne ek pre-budget conference organize kiya jahan Aurangzeb ne ye kaha ke Government tax revenue collection mein business community ka itmenan barqarar rakhne ke liye qadam utha rahi hai.
Unhon ne zahir kiya ke private sector ko bhi mulk ki Financial difficulties mein madad karni hogi.
Aurangzeb ne kaha ke mulk ko export-oriented banana hoga aur is maamle mein hakoomat poori madad karegi. Unhon ne digitization ki taraf jane ka irada zahir kiya aur kaha ke track and trace system ki kamiyon par bhi kaam ho raha hai.
Unhon ne kaha ke financial interest ke indicators behtar ho rahe hain aur hakoomat bohot se reforms par kaam kar rahi hai. Unhon ne private sector ko power distribution companies ke boards mein shamil karne ki a irada bhi show kia.
Aurangzeb ne kaha ke uniform tariff dena sanaton ka munasib haq hai jo puri ki jani chahiye. Finance Minister ne banks se agriculture, IT aur SMEs sectors ke liye zyada madad ki darkhwast bhi ki.
Unhone kaha ke interest rates ko bhi kam karna chahiye jabke inflation kam ho rahi hai. Privatization ke mamlat par, foreign aur local investors dono shamil hain. Is conference mein FPCCI ke Regional Chairman aur Vice President Zaki Aijaz ne shukriya ada kiya. Purane Finance Minister Hafeez Pasha, Almas Hyder, Dr. Fiaz Ahmed Chaudhry, Advocate Dr. Ikram-ul-Haq, APTMA Chairman Kamran Arshad aur doosre bhi shamil hue.