Pakistan ke liye IMF ki janib se 1.1 Billion dollar ki qist ki approval ki possibility hai. Ministry of Finance ke mutabiq, IMF Executive Board ki aaj meeting hone wali hai, jis me is mamlay par faisla kiya jayega.
Pakistan ne pehli qist 1.9 Billion dollar ki Stand-By Arrangement ke tehat IMF ke saath decided terms par amal kiya hai. IMF ke saath naye qarz program ke liye economic team ki negotiations agle mahine hon ge.
Ministry of Finance ke sources ke mutabiq new loan program ke tehat muzakrat ke liye IMF ka delegation May mein Pakistan aaye ga.