Friday, September 20, 2024
spot_img
HomeEconomyPAKISTAN FACES IMF SCRUTINY OVER APPROVAL OF 24 BILLION RUPEES SUPPLEMENTARY GRANT...

PAKISTAN FACES IMF SCRUTINY OVER APPROVAL OF 24 BILLION RUPEES SUPPLEMENTARY GRANT AMIDST FINANCIAL CRISIS

IMF ne Pakistan ki taraf se PM Office ke officers ko 4 extra salaries dene aur financial crises ke doran 24 arab rupay ki zimni grant ki manzoori par objection kiya. 

IMF ne Pakistan se 24 billion rupay ki supplementary grant ki manzoori aur P.M Office ke afsaron ki extra salaries ke hawale se inquiry ki.

IMF ki objection mentioned funding ke bare mein thi, lekin IMF ki Pakistan mein numainda Easther Pirz ne is mamlay par guftagu se guraiz kiya. 

IMF ki involvment ke bawajood aisa lagta hai ke PM aur finance Mininster IMF ki objections ko wapas nahi lena chahte. 

Government ne IMF ki objection ki wjah se June 2023 ke budget mein tabdeelian ki thi, lekin finance Mininster Mohammad Omer Nazeeb ne PM office ke officers ke liye batoor-e-inaam 4 izafi salaries ki manzoori di thi. 

IMF ne Pakistan se naye bail-out package ke husool ki darkhwast se guraiz kiya tha. 

IMF ne doosre jaaiza muzakarat ke doran Pakistan par zor diya tha ke woh Technical supplementary Grants ke amal se bhi guraiz kia jis ka maqsad rawan maali saal GDP ka 0.4% izafi budget ka hadaf haasil karna hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×