Tuesday, November 26, 2024
spot_img
HomeEconomyGOVERNMENT IMPLEMENTS NEW TAX MEASURES IN NEXT BUDGET, TARGETING REAL ESTATE, RETAILERS,...

GOVERNMENT IMPLEMENTS NEW TAX MEASURES IN NEXT BUDGET, TARGETING REAL ESTATE, RETAILERS, AND HEALTHCARE SECTORS

Government ne Next budget mein Real Estate, retailers, bade hospitals, aur laboratories par tax lagane ka faisla kar liya hai.

Islamabad: Fiscal year 2024-25 ke Federal budget mein Real Estate, retailers, Auto sector, builders, bade hospitals, pathological laboratories, medical diagnostic laboratories, clinics, medical practitioners, gym clubs aur dusre notified sectors par tax apply karne ka faisla kiya gaya hai. 

Is step ka maqsad 5 saal ke doran tax-to-GDP ki percentage ko barha kar saarhe 14% tak pahunchana hai.

In sectors mein income tax ke liye sirf FBR se approved licensed companies se point of sale system, fiscal electronic devices and software lagwa kar FBR se mansoob karne ko lazmi qarar diya jayega. Is faislay se withholding tax ki chori roki ja sakti hai.

Sources ke mutabiq Next budget mein Agricultural income ko tax net mein lane ke liye ahem iqdamat mutarif karaaye jayenge. 

Government ne with holding tax ki chori rokne aur documentation ke farogh ke liye withholding agents ki janib se Goods and services ke suppliers se deduct karwae gaye withholding tax directly sarkari khazane mein jama karwane ko lazmi qarar diya hai, is ke liye FBR ne sweep payment receipt system taiyar kar liya hai.

Is nizaam ke apply karne se withholding tax ki mad mein tax wasoolian aur documentation bhi barhegi. 

Suppliers ki janib se ki jane wali supply aur vendors ki purchase aur sale ki tafseelat bhi FBR ko maloom ho sakti hain.

Proposed Rules ke mutabiq jo sweep agents khilaf warzi ke murtakib paye jayenge unke khilaf income tax ordinance 2001 ke tahat jurmaana aur sazaaon ke liye karwai ki jayegi.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×