Karachi: State Bank of Pakistan ne hijri saal 1445-46 ke liye zakat ka nisab muqarrar kar diya.
Naye nisab ke mutabiq bank accounts aur deposits mein kam az kam Rs. 135,179/- rakhne walon se zakat deduct ki jayegi, is se kam raqam rakhte huye sarfeen zakat katoti se mustasna honge.
State Bank ne banks ko katoti ke liye hidayat jaari kar di hai jis ke mutabiq zakat ki katoti yakum Ramazan ko hogi.
Is katoti ka application profit loss ki participation par khulne walay saving accounts aur deposits par hogi jabke current accounts se zakat katoti nahi hogi.