Indus Motors Company Limited ne 21 February 2024 ko Board of Directors ki meeting mein approx Rs 3 Billion ki investment ke liye approval di hai.
Ye step company ki overall strategy ka hissa hai taake local gariyon ke hisson aur components ki Local procurement ko barhawa diya jaye.
Is investment ka maqsad foreign exchange ko kam karna aur local auto industry ko boost dena hai.
Investment ke liye karobari machinery, molds, dies, aur related expenses par kharch kiya jayega.
Is investment ka intezam 2025 ke 3rd quarter tak hone ka irada hai.