Pakistan ki taraf se Wazir Shahid Ashraf Tarar aur Dubai ki taraf se Chairman Ports Sultan Ahmed bin Sulaym ne agreement per sign kiye.
Caretaker Minister Shahid Ashraf Tarar ne is hawale se kaha hai ke Economic cooperation ke planing se dono countries ke darmiyan taluqat mustehkam honge.
Dubai ke Chairman Ports Sultan Ahmed bin Sulaym ne kaha ke agreement ke zariye dono countries future mein mustafeed honge.
Agreement mein railway, economic zone aur infrastructure mein taawun ke ilawa freight corridor, multi-model logistic park aur freight terminals ka qayam bhi shamil hai.
Pakistan Railways aur Port Qasim Authority jab ke Dubai ki taraf se DP World kaam karein ge. Mansoobon ki takmeel se Karachi mein traffic mein behtari aur logistic kharch mein kami hogi. DP World Pakistan mein Economic activities ko barhane ke saath Economic zone ko bhi taraqqi milegy.