Government ne electricity ke rates mein mazeed izafay ke liye maamla shuru kiya hai, jis se awaam ko mazid mehengai ka samna hai.
23 February ko National Electric Regulatory Authority, CPPA ki darkhwast par ghor-o-fikr karegi, jis mein bijli ke rate ko ek mah ke liye 7 rupey 13 paise tak increase kia ja sakta hai.
Ye darkhwast fuel price adjustment ke bases per di gayi hai. Agar bijli ke rates mein izafa ho gaya toh, awaam ko 66 arab rupey se zyada ka burden uthana pad sakta hai.