ISLAMABAD: Federal Government ne circular debts mein kami aur PSO ki payments ka masla hal karne ke liye current week me Pakistan State Oil (PSO) ko 30 Billion rupees jari karne ka faisla kiya hai.
Ministry of Finance ke mutabiq PSO ko payments ke liye SNGL ko 5 Billion rupees jari kar diye gaye hain, Domestic consumers aur fertilizer plants ko milne wali subsidy ke remaining 25 Billion rupees bhi current week mein jari honge.
SNGL 30 Billion rupees ki raqam milte hi PSO ko fori ada karegi. Domestic consumers aur fertilizer plants ko milne wali subsidy ki raqam budget mein mukhtas hai.
Sources ka kehna hai ke circular debts kam karne ke liye do power plants PSO ko dene ke liye federal cabinet aane wale haftay mein faisla karegi.
Power plants ke shares PSO ko milne se gas sector ka 100 Billion rupees circular debt kam ho jayega, overall PSO ki book se totally 130 Billion rupees ka circular debt kam kiya jayega.