Islamabad: Privatization Ministry ne Nandipur aur Guddu Power Plant ko Privatization Fehrist se bahar nikalne ka faisla kiya hai.
Tafseelat ke mutabiq, Government ne Nandipur aur Guddu Power Plant ki privatization ko khatam karne ka faisla kya hai. Cabinet ki Privatization Committee ne 2018 ka faisla dismis karnay ka bhi faisla kiya gaya hai. Dono plants ko Pakistan State Oil (PSO) ko dene ka faisla hua hai, lekin dono plants Sui Gas companies ke karz mein hain.
Privatization Ministry ke mutabiq, Wafaqi Hukumat PSO ke zariye Sui Gas companies ke karz ko ada karegi, jabke Sui Gas companies ka karz PSO ko ada karna hai. Is wajah se, PSO ko dues ada karne ke return me Nandipur aur Guddu Power dene par ghor kiya ja raha hai.