Sunday, September 22, 2024
spot_img
HomeFinanceStock MarketPAKISTAN STOCK EXCHANGE (PSX) ME BARI GIRAWAT, INVESTORS KA BURA HAAL

PAKISTAN STOCK EXCHANGE (PSX) ME BARI GIRAWAT, INVESTORS KA BURA HAAL

Indices din bhar mein mazeed neeche girte gaye aur benchmark KSE 100 index ne intraday mein 4.34% ka down fall dikhaya.

Analysts ne issay mojooda siyasi halchul ko aik bari waja qaraar diya hai jo investors mein khauf peda kar raha hai aur bearish trend ko trigger kar raha hai. Is ke ilawa, market correction kafi muddat se pending thy.

International Markets mein bhi kami nazar aee hai. Crude oil prices mein kami hui, WTI crude oil price ne 0.29% gir kar $73.35 tak pohanch gayi. Jabke Brent crude oil price 0.14% kam hokar $78.69 par pohanchi.

Benchmark KSE 100 index ne apni 60,0000-mark ko khoya jab isne 59,026.81 par day’s low tak gir kar 2,678.28 points ka nuksan kiya. Isne 2,534.12 points ya 4.11% ke nuksan ke baad 59,170.98 par apni jagah banai.

KMI 30 index ne 4,698.57 points ka nuksan kiya aur session ko 98,924.09 par khatam kiya. Jabke KSE All share index ne 1,563.22 points ka nuksan hokar din ko 39,718.77 par khatam kiya.

Investor activity mein kuch Izafa hua, jo pichle session mein 668.53 million shares se 670.62 million shares tak pohanchi. Volume chart ke top contributors mein K-Electric Limited (KEL -14.29%), Worldcall Telecom Limited (WTL -11.69%) aur The Bank of Punjab Limited (BOP -13.73%) shaamil the. In scrips mein 97.36 million shares, 72.52 million shares, aur 41.01 million shares tabdeel ho chuki thin.

Benchmark KSE 100 index par asar daalne wale sectors mein Oil and Gas Exploration sector (-508.87 points), Banking sector (-386.15 points) aur Power Generation and Distribution sector (-271.96 points) shaamil hain. Company-wise, top negative contributors mein The Hub Power Company Limited (HUBC -187.96 points), Pakistan Petroleum Limited (PPL -179.08 points) aur Oil and Gas Development Company Limited (OGDC -166.71 points) shamil hain.

Refinery sector ne apni makhsoos market capitalization mein 8.51% girawat dekhai. Attock Refinery Limited (ATRL -7.32%), National Refinery Limited (NRL -7.50%), Cynergyico PK Limited (CNERGY -11.43%) aur Pakistan Refinery Limited (PRL -7.50%), sab ne red mein band ho gaya.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×