Thursday, December 26, 2024
spot_img
HomeEconomyWORLD BANK NE PAKISTAN KO 35 CRORE DOLLAR QARZ KI MANZOORI DE...

WORLD BANK NE PAKISTAN KO 35 CRORE DOLLAR QARZ KI MANZOORI DE DI

World Bank ki taraf se issued announcement ke mutabiq, 35 crore dollar ka qarz manzoor kar diya gaya hai, jise “Raise to Program” ke tehet istemal kiya jayega. Raqam power sector ke nuksanat kam karne mein madad karegi.

World Bank ne Institutional reforms ke liye Pakistan ki strategy se ittefaq kiya hai. Ammount Raise to Program ke tahat manzoor ki gayi hai, jo economic stability ke liye reforms ki policy par implementation karega. Stable group ke liye Value systems par bhi amal kiya jayega.

Unhone bataya ke program se power sector ke behtar intizam mein bhi madad milegi. World Bank ka kehna hai ke is qarz ki manzoori ka maqsad fund management, Sustainable economic development ke liye Competition ko forogh dena hai.

Financial plan management better bana kar economic development ko Sustainable banana hai, Pakistan ko Urgent fiscal and structural reforms ki zaroorat hai.

World Bank ka kehna hai ke is qarz se Fiscal Policy mein coordination aur Loans mein transparency layi jayegi.

World Bank ne kaha hai ke tax laws par execution ki Costs mein kami aur digital payments ko promote kia jayega, import tariff mein kami ke zariye import ko farogh diya jayega.

Pakistan ke paas election ke baad Long-standing structural problems hal karne ka chance hai, yeh chance waste kar diya gaya to Pakistan ka economic crises mein fall karne ka khatra dubara lahaq ho sakta hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×