Tuesday, November 26, 2024
spot_img
HomeEconomyFBR ACHIEVES TARGET FOR THE 4TH CONSECUTIVE MONTH WITH UNPRECEDENTED 43% GROWTH...

FBR ACHIEVES TARGET FOR THE 4TH CONSECUTIVE MONTH WITH UNPRECEDENTED 43% GROWTH IN DOMESTIC TAXES

Federal Board of Revenue (FBR) ne 4 maah tak collection hasil karne ka target as per usual hasil kar liya hai, jahan par 43% domestic aur 37% overall izafa hua.

July se October 2023 tak ke doraan, FBR ne Rs. 2,748 billion collect kiye hain (2022: 2,159 billion), jab ke Rs. 2,682 billion ke specified target ke mukabley is mein Rs. 66 billion ka izafa kiya gaya. FBR ne October 2023 ke maah ke liye collection karne ke liye bari koshishen ki hain. October 2022 mein Rs. 516 billion collect kiye gaye the, jabke October 2023 ke maah mein FBR ne Rs. 707 billion jama kiye hain. Isi dauran, FBR ne pehle chaar maah mein Rs. 113 billion ke mukabley Rs. 158 billion ka refund jari kiya.

Tax year 2023 ke liye 31st October, 2023 tak total 2.9 million takriban tax returns file kiye gaye hain, jab ke is ke mukabley pichle saal ke corresponding period 2.57 million file kiye gaye the, jis mein 330,000 ka izafa zahir hota hai. FBR ke Chairman ne FBR ke officers aur officials ke through dikhaye gaye behtareen mehnat, professionalizm aur dedication ko saraha he. FBR upcoming years kay lye bhi strongly determined hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×