Caretaker Finance Minister Dr. Shamshad Akhtar ki sarparsti mein Pakistan ke economic team ne IMF ki delegation ko apni performance ka brief dia, aur $3 billion loan program ki puri implementation ki guarantee di.
IMF delegation ne strict implementation ki darkhwast ki, aur Pakistan ne pehle fiscal year ke quarter ke targets ko meet kiya.
Tax collection aur Petroleum Development Levy ke targets exceed kiye gaye, aur electricity, gas tariff, aur government institutions mein reforms bhi underway hain.
Benazir Income Support Program budget ko barhaya gaya, foreign exchange reserves aur external financing ko improve karne ki koshishon ka zikr bhi hua.
IMF mission ke sath negotiations shuru ho gayi hain or 15 Nov tak chalengy.
IMF ki Pakistan kay sal ke pehle quarter ke doran economic performance pe guftagu karegi, Session ko Finance Minister Shamshad Akhtar lead karengy, jisme State Bank of Pakistan Governor Jameel Ahmed bhi mojood honge, technical tafseelat pe ghor kiya jayega.
IMF mission ke sath negotiations shuru ho gayi hain or 15 Nov tak chalengy.