Pakistan aur America nay, dono countries ke darmiyan Science aur Technology Cooperation Agreement ko aur paanch saal ke liye barhane ka ailaan kia.
Dono Governments ke officials nay note sharing ceremony mein hissa liya. Pakistan ke Ambassador Masood Khan aur America ke Office of Science and Technology Cooperation ke Director, Jason Donovan, is moqay par shamil rahe. Pakistan ki taraf se Muhammad Saad Ahmed aur America ki State Department ki taraf se Michelle Sheckells nay documents exchange kie.
Is Agreement ka maqsad dono mulkon ke scientific, technical, aur engineering capabilities ko mazeed mazbooti dena hai, scientific aur technical communities ke darmiyan relations ko barhana hai, aur aman pasandi ke liye scientific aur technical cooperation ko promote karna hai. Is Agreement ke teht dono mulk exchange of information, scientists aur technical experts ke exchange, joint seminars aur meetings, scientists aur technical experts ki training, joint research projects, science, technology, aur engineering se related educational exchanges, science-based public-private partnerships, aur mutabiq aane wale kisi bhi qisam ki scientific aur technical cooperation karain ge.
Pakistan aur America ki Governments ke darmiyan Science aur Technology Cooperation Agreement ko 25 June, 2003 ko sign kia gaya tha, aur isay phir har paanch saal ke baad barhaya gaya hai. Ambassador Masood Khan ne is Agreement ko barhane ka shukriya ada kia aur kaha ke ye arrangments scientists, engineers, aur technology experts ke darmiyan cooperation ke liye ek bunyadi framework hai, jo climate change, energy, agriculture, aur IT jaise challenges ka hal nikalne mein madadgar sabit ho sakta hai. Unho ne umeed express ki ke science aur technology mein cololaboration se dono countries ke darmiyan aik strong partnership ki taraf rah hamwar ho sakti hai.