Wednesday, November 27, 2024
spot_img
HomeNationalPRESIDENT OF PAKISTAN NE BANK FRAUD KAY VICTIMS KO RS 4.1 MILLION...

PRESIDENT OF PAKISTAN NE BANK FRAUD KAY VICTIMS KO RS 4.1 MILLION REFUND KARNE KI HIDAYAT DE DI

ISLAMABAD: President Arif Alvi ne 2 private banks ko instructions dete hue kaha kay woh 4 customers jin ka banks ki laparwahi ki waja se loss hua tha, unko total Rs 4.1 million return kiye jayen. 

Banks ne regulations kay against without customer’s consent Electronic Funds Transfers (EFT) ko activate kiya. President ne banks ki appeals ko reject kar diya aur kaha kay frauds ko rokne mein unsuccessful rahe aur unhen customers ko reimburse karna hoga.

Banks kay claim kay according OTP consent kay tor par kam karta hai, is claim ko dismissed kar diya gaya hai. 

President ne separate steps kay tor par consent and security ko emphasize kiya and Banks kay misconduction ko losses ki wajah batate hue Banks ko order diya hai kay wo effective customers ko Rs 4.1 million wapis karen.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×