Pakistan ne Debit & Credit cards k through ki jane wali transactions per tax me 400% ka significant increase karne ki announcement kardy he.
Is move ka purpose dollars k outflow ko rokna he or Country ke Foreign exchange reserves ko support karna he.
Federal Board of Revenue (FBR) ne Income act ordinance me changes kartay hue, Finance Act of 2023 ko implement kia he.
Expectation hai kay withholding tax ke higher rates ki wajah se unnecessary outflows ko discourage kia ja sakega or alternative payment ke methods ki encouragement hogy. Jis se Pakistan ki financial position and economy ko stabilize karne me help milegy.