Saturday, November 23, 2024
spot_img
HomeEconomyPAKISTAN NE EXTERNAL FUNDING GAP KAM KARLIYA, EXPECTED HAI KE IMF DEAL...

PAKISTAN NE EXTERNAL FUNDING GAP KAM KARLIYA, EXPECTED HAI KE IMF DEAL JALD HO

Bloomberg report kay mutabiq, Pakistan ne International Monetary Fund (IMF) ke saath ek lambay arse se roka hue bailout program ko dobara shuru karne ke liye $6 billion ka target rakhte hue $4 billion tak ke external funding jama kar li hai.

South Asian nation abhi bhi remaining amount jutane (mobilize) ke liye apni efforts jari rakhe hue hai, Islamabad ke Ministry of Finance ne Bloomberg News ke sawalon ka ek email ke zariye jawab diya, aur ye bhi kaha hai ki wo expect karte hain ki wo 9 June ko budget pesh karene se pahle deal ko IMF ke saath final kar lenge.

“Pakistan IMF program ko pura karne ke liye committed hai aur wo apni seriousness ko pahle hi dikha chuka hai.” Mulk ne apne $6.7 billion ke bailout program ko dobara shuru karne ke liye lambe arse tak discussion aur isme months of delay face kiya hai.

Pakistan ko July me shuru hone wale fiscal year 2024 ke liye taqriban $22 billion ke external debt payments ko face kerna hai, jise Columbia Threadneedle Investments ke mutabik Pakistan ke debts taqriban 5 gunna hai. IMF demands ko pura karne ke liye, government ne tax increase kar diyahai, energy prices main izafa kiya hai aur rupee ko kamzor karne diya hai.

Is economic crisis ke saath hi mulk ab bhi political stress face kar raha hai.

- Advertisment -spot_imgspot_imgspot_imgspot_img

Most Popular

×