Islamabad: Federal Minister for Finance and Revenue Senator Ishaq Dar ne wednesday ko kaha ke tamam technical formalities aur pehle se qabl ke iqdamat mukammal kar liye gaye hain lekin unfortunately, IMF programme sakht takheer ka samna kar raha hai.
FBR headquarters par wednesday ko Rawalpindi-Islamabad aur Sarhad Chambers of Commerce ki delegation ke sath Budget proposal 2023-24 ki peshkash par meeting ki. Dar ne izhar-e-yaqeen kiya ke Pakistan default nahi hoga aur coalition Government IMF programme ke 9th review ko complete karne ke liye committed hai.
Delegation ne Chamber of Commerce ke budget proposal talab karne par Finance Minister ki tareef ki aur mulk ki current Economic situation ko bhi gor kiya. Delegation ne unhein darpaish mukhtalif issues ki roshni upcoming federal budget ke liye proposals pesh kiye. Pakistan mein Economic aur Business activities ko barhane ki koshishon mein Government ko full support provide ki.
Ishaq Dar ne kaha ke business community ki consideration par ghor kiya jayega kyunki mulk ko economic stability ki raah par gaamzan karne ke liye joint efforts ki zaroorat hai. Unhone kaha ke Pakistan ek challenging phase se guzar raha hai aur Government team un challenges par qabu panay ke liye sakht mehnat kar rahi hai.
Delegation mein Saqib Rafiq, Sohail Altaf, Ahsan Bakhtawari, Aqib Jamil, Shahrukh Khan, Faad Waheed, Khalid Iqbal, Malik Ijaz Abbasi, Mian Ramzan, Najam Rehan, Dr. Sarosh aur degar shamil thay.