BEIJING, May 12: Tesla inc ne China market regulator ko inform kiya hai ke wo 1million se zyada vehicles mein software update deploy kare ga takay break method mein changes or accelerator pedals ke uses ke bary mein mazeed warnings mil saken reported by Reuters.
Reuters ne mazeed bataya kay, China Regulator ne kaha hai ke iss karwai ko Chinese regulations ke tehet “product recall” ke tor par describe kiya gaya hai, lekin ye immediately clear nahi ho saka, drivers ko Tesla ko return karne ki zaroorat hogi ya wo eligible honge.
State Administration for Market regulation ne statement mein kaha hai ke 29 May U.S Automaker apne Model S, Model X, Model or Model Y cars ke 1.1 million units ko over-the- Air software jari kary gi, jo imported or china ki bani hoi hain.
Is update ke zariye brake switch off karne ke option restore kar diya jay ga or jab driver hard step rakhen gay accelerator pedal par to isko warn kiya jayega.